Forums » General » Ahmad Raza Khan Barelvi

ahlesunnat
Avatar

Har aik dour mein har aik sadi mein Hadees Pak ki rooh ke mutabiq ALLAH Pak aik ya aik se zaaid mujaddid ka zahoor farmata hai jo keh Deen e Islam ko taazgi dete hai.

Deen ke andar pai jane wali tamam tar ghalat rasm o riwaj, bad-aqeedagi, bidaat, shubhat, aur deegar khurafat ka khatma karta hai.

Imam Ahle Sunnat, Imam Ahmad Raza Khan Barelvi bhi apni sadi ke mujaddid hain.

Imam Ahmed Raza Khan ne apne dour mein paye jane wale tamam tar fitno ka khatma kiya jis mein sab se bara fitna Nabuwat ka dawa karne wale Mirza Ghulam Ahmed Qadiani ka fitna tha Ala Hazrat ne us ka radd kar ke Namoos e Khatm e Nabuwat ki ahmiyat ko ujagar kiya.

Mazeed us dour mein mazhabi nafraton par mushtamil kai masalik manzar e aam par aye jin ka Ala Hazrat ne nah sirf un ka radd kiya bal-keh un ki sarkoobi ke sath sath ainda bhi wo apna sar nah utha sakein aur nah woh khud uth sakein is ke liye un ka khatma kiya yani un ka mustaqil ilaj kiya aur awam ko un ki asliyat un ki chalakiyan makariyan bata kar un ke aqaid e batila ko ujagar kar ke un ka radd aisa kiya keh woh ainda sadiyon tak apna makrooh chehra kisi ko dikhane ke qabil nah rahein.

Taruf e Ahmed Raza Khan Barelvi

Imam Ahmed Raza Khan 20th sadi ke mujaddid, namwar hanafi faqeeh, muhaddis, naat go shayar, uloom e aqliyah ke mahir, silsila qadria ke sheikh aur arabi, farsi aur urdu ki kaseer kitabon ke musannif the.

Imam Ahmed Raza Khan ne shiddat se taqleed aur hanfiya ka difa kiya.

Silsila hadees mein Shah Waliullah aur Abdul Haq Muhaddis Dehlawi se istifadah kiya aur fiqa mein sanad e ijazat Sheikh Abdul Rehman Hanafi Makki se hasil ki, jin ka silsila Abdullah bin Masood tak pahunchta hai.

Ahmed Raza Khan ne “Do Qaumi Nazriya” ka parchar kiya aur kisi bhi hal par Hindu Muslim ittehad ko radd kiya.